mahdūd-nigāhī ke sanam TuuT rahe haiñ
tārīk ujāloñ ke bharam TuuT rahe haiñ
is daur kī badlī huī raftār kā aalam
shīshoñ kī tarah naqsh-e-qadam TuuT rahe haiñ
tishna hai mirā jaam to kuchh ġham nahīñ saaqī
ye ġham hai ki rindoñ ke bharam TuuT rahe haiñ
is raaz ko arbāb-e-siyāsat se na pūchho
kyuuñ rābta-e-dair-o-haram TuuT rahe haiñ
ye ziist hai yā riit kā kamzor gharauñdā
ban ban ke yuuñ hī sadiyoñ se ham TuuT rahe haiñ
hālāt kā ye ruḳh bhī 'hayāt' aap samajh leñ
kyuuñ zulm ba-andāz-e-karam TuuT rahe haiñ