jo mai-kade meñ bahakte haiñ laḌkhaḌāte haiñ
mirā ḳhayāl hai vo tishnagī chhupāte haiñ
zarā sā vaqt ke sūraj ne ruḳh jo badlā hai
mire vajūd pe kuchh saa.e muskurāte haiñ
diloñ kī samt pe lafzoñ ke sañg mat pheñko
zarā sī Thes se ā.īne TuuT jaate haiñ
tilism-e-zāt kī phailī hai tīrgī itnī
ki vus.atoñ ke ujāle simaTte jaate haiñ
sitam-zarīfī-e-hālāt kā karishma hai
bhaTakne vaale mujhe rāste batāte haiñ
jinheñ 'hayāt' shu.ūr-e-hayāt hāsil hai
fareb dete nahīñ haiñ fareb khāte haiñ