fasīl-e-shukr meñ haiñ sabr ke hisār meñ haiñ
jahāñ guzar nahīñ ġham kā ham us dayār meñ haiñ
hameñ ujaal de phir dekh apne jalvoñ ko
ham aa.ina haiñ magar parda-e-ġhubār meñ haiñ
jalā ke mish.aleñ chalte to hote manzil par
vo qāfile jo savere ke intizār meñ haiñ
hai iḳhtiyār hameñ kā.enāt par hāsil
savāl ye hai ki ham kis ke iḳhtiyār meñ haiñ