ḳhizāñ kī chaah meñ khilte chaman ko chhoḌ diyā
talāsh-e-rizq meñ nikalne vatan ko chhoḌ diyā
chale the ghar se asāse meñ hijrateñ le kar
tamām umr kī dil meñ chubhan ko chhoḌ diyā
lagā kuchh aisā jo bichhḌe ham apne pyāroñ se
ki jaise ruuh ne apne badan ko chhoḌ diyā
unhī ke dam se sañvarte the sab hunar mere
jo vo nahīñ haiñ to har ek fan ko chhoḌ diyā
vo jis ke vasl meñ naġhme likhe kabhī ham ne
usī ke hijr meñ ham ne suḳhan ko chhoḌ diyā
ab us kī yaad meñ rātoñ kā chain khote haiñ
'qamar' ye kis se kaheñ kyoñ vatan ko chhoḌ diyā