chāhatoñ kā jo shajar hai dosto
aaj be-barg-o-samar hai dosto
uḌ rahī hai jo sitāroñ se pare
apnī hī gard-e-safar hai dosto
dāman-e-zarrīñ amīr-e-shahr kā
ḳhuun meñ apne hī tar hai dosto
ashk-e-ġham pī pī ke apne shahr meñ
muskurānā bhī hunar hai dosto
manzil-e-ḳhurshīd se aage chalo
mausam-e-parvāz-o-par hai dosto
kār-hā-e-zindagī haiñ mo'atabar
zindagī nā mo'atabar hai dosto