Rashid Fazli

mujrim hai tumhaara to saza kyun nahin dete

Rashid Fazli

mujrim hai tumhārā to sazā kyuuñ nahīñ dete
is shaḳhs ko jiine kī duā kyuuñ nahīñ dete
is peḌ ke saa.e meñ bhī kyuuñ itnī ghuTan hai
haiñ sabz ye patte to havā kyuuñ dete
jis ḳhuun meñ aa jaa.e safedī kī milāvaT
us ḳhuun ko āñkhoñ se bahā kyuuñ nahīñ dete
ā.īne satāte haiñ to chehre ko na dekho
āñkhoñ meñ chamak hai to bujhā kyuuñ nahīñ dete
is arsa-e-ḳhāmosh meñ ham tanhā khaḌe haiñ
hai dard hamārā to sadā kyuuñ nahīñ dete
kuchh log jo pīchhe haiñ vo panjoñ pe khaḌe haiñ
qad apnā ye thoḌā sā ghaTā kyuuñ nahīñ dete
hai aag kā ye khel to phir sochnā kaisā
ḳhud apnā badan aap jalā kyuuñ nahīñ dete
vo baat jo paḌhte rahe āñkhoñ meñ hamārī
vo saare zamāne ko batā kyuuñ nahīñ dete
Top Urdushayar.com