bharī mahfil meñ tanhā.ī kā aalam DhūñD letā hai
jo aa.e raas dil aksar vo mausam DhūñD letā hai
kisī lamhe akelā-pan agar mahsūs ho dil ko
ḳhayāl-e-yār ke dāman se kuchh ġham DhūñD letā hai
kisī rut se rahe mashrūt kab haiñ roz-o-shab mere
jahāñ jaisā ye chāhe dil vo mausam DhūñD letā hai
ġham-e-furqat kā dil ko bojh karnā ho agar halkā
sunāne ko tire qisse ye hamdam DhūñD letā hai
judā.ī kab rahī mumkin kisī hālat koī sūrat
mujhe mahfil ho tanhā.ī tirā ġham DhūñD letā hai
rahe yuuñ naaz apne zehn par lāhaq ġhamoñ meñ bhī
ḳhushī kā ik na ik pahlū ye tāham DhūñD letā hai
ḳhayāl-e-yār hī darmāñ ġham-e-furqat ke zaḳhmoñ kā
ki biite saath lamhoñ se ye marham DhūñD letā hai