Shafiq Khalish

dost ya dushman-e-jaan kuchh bhi tum ab ban jao

Shafiq Khalish

dost yā dushman-e-jāñ kuchh bhī tum ab ban jaao
jiine marne kā mire ik to sabab ban jaao
ho misāloñ meñ na jo husn ajab ban jaao
kis ne tum se ye kahā thā ki ġhazab ban jaao
aa baso dil kī tarah ghar meñ bhī ai ḳhush-ilhān
zindagī bhar ko mirā sāz-e-tarab ban jaao
rashk qismat pe mirī saare zamāne ko rahe
ham-safar tum jo liye apne ye chhab ban jaao
maiñ ne chāhā thā sar-e-sub.h javānī bhī yahī
tum hī sāñsoñ kī mahak dil kī talab ban jaao
kuchh to ehsās chhuTe dil se añdheroñ kā mire
ziist tārīk ko ik sham-e-shab ban jaao
dil meñ rakhtā huuñ mohabbat kā ḳhazāna jānāñ
chhoḌ kar saarā jahāñ merī hī ab ban jaao
zaat qurbat se hamesha hī munavvar chāhūñ
kab kahā us se ḳhalish raunaq-e-shab ban jaao
Top Urdushayar.com