karte haiñ agar mujh se vo pyaar to aa jaa.eñ
phir aa ke chale jaa.eñ ik baar to aa jaa.eñ
hai vaqt ye ruḳhsat kā baḳhshish kā talāfī kā
samjheñ na jo gar us ko bekār to aa jaa.eñ
ik diid kī ḳhvāhish pe aTkā hai ye dam merā
kam karnā ho merā kuchh āzār to aa jaa.eñ
jaañ dene ko raazī huuñ ai paik-e-ajal lekin
kuchh der to ruk jaao sarkār to aa jaa.eñ
jaa.eñ na 'ḳhalish' le kar ham sū-e-adam hasrat
maqsūd ho un ko bhī dīdār to aa jaa.eñ