sho.arā meñ na ho kyuuñ sher hamārā ūñchā
ki qad-e-yār kā mazmūn hai bāñdhā ūñchā
naaz kī nashv-o-numā hai ki hai joban kā ubhār
varna kyā hai tire siine pe ye ūñchā ūñchā
dil musāfir hai safar shab kā phir is par turra
kūcha-e-zulf meñ hai har jagah nīchā ūñchā
ai adab ḳhaar kī tāzīm hai nīchā rahnā
haañ kahīñ ho na sar-e-ābla-e-pā ūñchā
zulf hai past jo gesū se to ye kākul se
chau-gune martaba meñ is se hai turra ūñchā
chashm-e-bad-dūr buland ashk hai sar se ik haath
ġhair mumkin hai zamīñ se bahe dariyā ūñchā
kyuuñ 'vaqār' apnā galā pīr-o-javāñ phāḌte haiñ
pīr-e-kohna hai falak had se hai suntā ūñchā