aariz se tire bahār maqsūd
hai ḳhat se ba-naqsha-zār maqsūd
uḌ uḌ ke ġhubār-e-āshiq aayā
kūcha meñ jo thā mazār maqsūd
ka.abe se ġhazāl kūdtā aa.e
ho un kā agar shikār maqsūd
gesū se ġharaz hai ḳhaas kar lail
ruḳhsār se hai nahār maqsūd
nargis hai chaman kī dīda-e-shauq
hai aap kā intizār maqsūd
dil kī na kalī shagufta hogī
gul se na rakhe hazār maqsūd
dāġhoñ kā 'vaqār' siina mushtāq
hai koh kā lāla-zār maqsūd