Kishan Kumaar Waqaar

rahta hai mere dil mein tera nur raat din

Kishan Kumaar Waqaar

rahtā hai mere dil meñ tirā nuur raat din
ik sho.ala barq-zan hai sar-e-tūr raat din
mānind mehr-o-māh hasīnoñ meñ hai firāq
kyuuñ ek ek se na rahe duur raat din
ham ne milā.ī aañkh ye muñh hai sahāb kā
jaarī hai zaḳhm-e-chashm kā nāsūr raat din
tere liye misāl-e-mah-o-mehr-o-najm-o-charḳh
phirte haiñ lunj-o-lañg-o-kar-o-kor raat din
kuchh ġham firāq kā hai na kuchh vasl kī ḳhushī
huuñ us ke zauq-o-shauq meñ masrūr raat din
muñh kis kā merā zikr kare us ke rū-ba-rū
rahtā hai varna ḳhalq kā mazkūr raat din
ḳhvāhish har aa.ina hai udhar bhī nazar rahe
go ā.īna nazar ke hai manzūr raat din
dil meñ jo bas rahī hai koī nāznīñ hasīñ
phirtī hai merī āñkhoñ meñ ik huur raat din
sozish hai dāġh-e-hijr meñ is se sivā 'vaqār'
bhartā huuñ jitnā marham-e-kāfūr raat din
Top Urdushayar.com