Kishwar Naheed

kuchh bol guftugu ka saliqa na bhul jae

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
kuchh bol guftugū kā salīqa na bhuul jaa.e
shīshe ke ghar meñ tujh ko bhī rahnā na bhuul jaa.e
vā rakh sadā darīcha-e-ḳhud-āgahī ki tū
achchhe to kyā buroñ ko parakhnā na bhuul jaa.e
zaḳhm-e-nihāñ ko shauq-e-talab se judā na kar
hotā hai roz o shab jo tamāshā na bhuul jaa.e
kar deñ na be-talab ye musalsal aziyyateñ
dil bhī kahīñ vafā kā salīqa na bhuul jaa.e
manzil kā nashsha qurbat-e-manzil na chhīn le
apnī galī meñ aa ke hī rasta na bhuul jaa.e
mat rakh tazād-e-zāhir-o-bātin ki aadmī
tujh ko tire amal se parakhnā na bhuul jaa.e
vo bhiiḌ hai ki shahr meñ chalnā muhāl hai
uñglī pakaḌnā baap kī bachcha na bhuul jaa.e
'nāhīd' rif.ateñ to mileñgī bahut magar
āñkhoñ ko apne shahr kā naqsha na bhuul jaa.e
Top Urdushayar.com