dekh lāzim hai ġham zindagī ke liye
so guzāre shab-e-ġham ḳhushī ke liye
shahr-e-jānāñ se ab kuuch kar jā.iye
vo nahīñ pārsā bandagī ke liye
yuuñ to saare hī manzar mile haiñ magar
DhūñDhtā phir rahā dilkashī ke liye
pyaar se pyaar kā ye safar dekhiye
sochiye kuchh nayā dil-lagī ke liye
aap hī aap vo muskurā.e bahut
yaad aa hī gayā naġhmagī ke liye
chāhtā hī nahīñ ab vo 'ahsan' tujhe
dekh nainan koī mai-kashī ke liye