murġh-e-jāñ ko zulf-e-pechāñ jaal hai
jaal kyā ai jān-e-jāñ janjāl hai
aao hāzir sar pa.e pāmāl hai
jaan lab par bahr-e-istiqbāl hai
ḳhaak ho sarsabz tuḳhm-e-āshiqī
hai zamīñ aas āsmān ġhirbāl hai
husn yūsuf kā bikā bāzār meñ
ishq kā rā.īl ke iqbāl hai
jo mire lab par huā hasrat kā ḳhuun
vo buḳhār-e-shauq kā tabḳhāl hai
boltā hai āj-kal tuutī mirā
ġhair kī galtī vahāñ kab daal hai
fauj-e-ḳhat aatī hai ai sultān-e-husn
mulk-e-ruḳh se terā istīsāl hai
hai nikaltī baat un kī baat se
chaal vo chalte haiñ jis meñ jaal hai
kyā likhūñ vasf achchhī sūrat kā 'vaqār'
jins-e-nāqis ke liye dallāl hai