Kishan Kumaar Waqaar

hai hai koi dil dene ke qabil nahin milta

Kishan Kumaar Waqaar

hai hai koī dil dene ke qābil nahīñ miltā
armān taḌapte haiñ ki qātil nahīñ miltā
ho aql to ho til kī jagah aañkh meñ lailī
jhak qais kī hai sāhib-e-mahmil nahīñ miltā
gul kī tire ruḳhsār se rañgat nahīñ miltī
naale se mire shor-e-anādil nahīñ miltā
apnā bhī to miltā nahīñ dil mujh se phir ai yaar
kis muñh se kahūñ tujh se tirā dil nahīñ miltā
bosa nahīñ dete haiñ shab-e-vasl meñ bhī aap
mazrūa-e-umīd kā hāsil nahīñ miltā
miltā nahīñ aariz se tire mehr-e-daraḳhshāñ
peshānī se terī mah-e-kāmil nahīñ miltā
chamke na 'vaqār' aage ruḳh-e-yār ke ḳhurshīd
samjhe rahe haq se kabhī bātil nahīñ miltā
yārab tamkīñ dahr meñ qātil nahīñ miltā
phīke kisī dilbar se mirā dil nahīñ miltā
vo ishq kā dariyā hai ki ilyās ko jis kā
kahne ko pa.e naam bhī sāhil nahīñ miltā
maujūd hai filfil mujhe ġham is kā nahīñ hai
gar dekhne ko ruḳh kā tire til nahīñ miltā
mashq-e-sitam-o-jor kā chaurañg huuñ is se
āshiq koī mujh sā unheñ be-dil nahīñ miltā
ash.ār 'vaqār' aisī ġhazal maiñ kahūñ kyā ḳhaak
mushkil to ye hai qāfiya mushkil nahīñ miltā
Top Urdushayar.com