maiñ pā-shikasta kahāñ tifl-e-nai savār kahāñ
phir us kī gard kahāñ aur mirā ġhubār kahāñ
tumhāre vasl se Thahregā ye dil-e-be-tāb
baġhair aa.ina sīmāb ko qarār kahāñ
bahut dinoñ se huuñ aamad kā apnī chashm-e-ba-rāh
tumhārā le gayā ai yaar intizār kahāñ
jo sard-mehrī se ThanDā ho us ke ai mah-rū
ragoñ meñ ḳhuun kahāñ nabz meñ buḳhār kahāñ
nikal ke siine se jā pahuñche tūr-e-sīnā par
ga.ī chamakne mirī āh-e-pur-sharār kahāñ
jo samjheñ tere dam-e-teġh ko tarīq apnā
batā de dahr meñ haiñ aise sar-guzār kahāñ
falak kī sulh ko samjhe raho 'vaqār' jidāl
bane bhī dost jo dushman to e'tibār kahāñ