Kishan Kumaar Waqaar

aashiq-e-gesu-e-duta hun main

Kishan Kumaar Waqaar

āshiq-e-gesū-e-dutā huuñ maiñ
aap apne liye balā huuñ maiñ
kyā shikāyat agar na jaane yaar
ḳhud nahīñ jāntā ki kyā huuñ maiñ
misl-e-gul hañs ke maiñ kabhī na khilā
ġhuncha saañ ziist se ḳhafā huuñ maiñ
maiñ to ai jaan huuñ bure se burā
merā ye muñh kahūñ bhalā huuñ maiñ
dil hai ā.īna-e-do-rū apnā
dost dushman se ek sā huuñ maiñ
terā āshiq huuñ ai but-e-ra.anā
ġhair huuñ maiñ ki āshnā huuñ maiñ
mujh ko taslīm hai jafā-e-yār
har tarah tāba-e-razā huuñ maiñ
mauj-e-nik.hat mirā janāza hai
kushta-e-ḳhanjar-e-adā huuñ maiñ
phir chubhā dil meñ ḳhaar ġham hai 'vaqār'
phir kisī gul kā mubtalā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com