kal kahāñ bichārī bulbul aur kahāñ bechārā gul
aaj bulbul diid kar le baaġh kī nazzāra gul
ḳhālī-az-shar ye chaTakne kī sadā hargiz nahīñ
sub.h dam kartā hai apne kuuch kā naqqārā gul
ġhuncha jab tak chup rahā har tarah ḳhātir jam.a thī
ḳhanda-e-mufrat ne lekin kar diyā āvāra gul
zāhirā bātin subuk thā kuchh girānī aa ga.ī
ho gayā bulbul kī jānib se jo sañg-e-ḳhārā gul
kyuuñ na guzre dam-ba-dam bulbul kā parcha ai 'vaqār'
rakhtā hai bād-e-sabā kā baaġh meñ harkāra gul