qaabū meñ dil ho to kaheñ shaidā na kījiye
apne ko apne haath se rusvā na kījiye
dil le ke bosa dete nahīñ aur ye kahte haiñ
apne parā.e meñ kahīñ charchā na kījiye
rindān bāda-ḳhvār meñ hai aib-e-sar-kashī
ḳham kis tarah se gardan-e-mīnā na kījiye
iisā se un kī chashm-e-suḳhan go ye kahtī hai
mere marīz-e-ishq ko achchhā na kījiye
muñh pheriye na lāl-e-shakar khā ke bose se
dil apne talḳh-kām kā khaTTā na kījiye
ḳhūñ-reziyāñ Tapaktī haiñ pā-e-hinā.ī se
fitna ḳhirām-e-nāz kā barpā na kījiye
āġhāz ishq ko diyā anjām-e-girya ne
ab kyā 'vaqār' kījiye aur kyā na kījiye