pāmāl-e-ḳhirām-e-nāz kiije
Thukrā.iye sarfarāz kiije
dil tum ne liyā zabān de kar
āshiq kā na faash raaz kiije
soz-e-tap hijr kā ye hai hukm
tan sham-e-sifat gudāz kiije
mahmūd huā hai husn sāhab
pahle mujh ko ayaaz kiije
ho koī qazā jo bāda-ḳhvāro
bhaTTī pe adā namāz kiije
kahtā hai ye nāz-e-dil-rubā.ī
ai āshiqo jaan niyāz kiije
nā-sāz zamāne kā nahīñ ġham
haañ kaar zamāna-sāz kiije
ġhairoñ se to hai 'vaqār' behtar
ab aap bhī imtiyāz kiije