dosto hāl-e-dil-e-zār zarā us se kaho
kam na ho is meñ zarā balki sivā us se kaho
baat gaḌ.h kar na koī bahr-e-ḳhudā us se kaho
jitnā maiñ muñh se kahūñ merā kahā us se kaho
ye na kahiyegā ki ham zaḳhmoñ pe chhiḌkeñge namak
jis kisī ne ki na chakkhā ho mazā us se kaho
shām-e-andoh kī shāyad ki sahar ho jaa.e
mirā din raat kā ye shor-o-bukā us se kaho
chashm-e-bīmār ne bīmār kiyā hai mujh ko
lab-e-jāñ-baḳhsh kare merī davā us se kaho
haath uThā baiThe na vo qatl se mere yaaro
ḳhūñ-bahā maiñ ne ba-hal apnā kiyā us se kaho
ik hasīñ pūchhtā thā hāl-e-vaqār-e-ḳhasta
go burā ho mirā itnā to bhalā us se kaho