tirī ai shāh-e-ḳhūbāñ ho balā chaT
vo bosa de ki ho jis kī sadā chaT
muñDā kar ḳhatt-e-ruḳh us mah-laqā ne
kiyā hai aa.ine kā ghar safā-chaT
mujhī ko gāliyāñ dete rahe vo
magar letā rahā bose chaTā-chaT
tumhārī zulf kā bāñdhā na chhūTā
Dasā kaale ne jis ko vo muā chaT
musallam murġh-e-dil hai mehmān-e-ġham
kare jald ai ḳhudā vo ye ġhizā chaT
'vaqār' us gul ko ġhuncha ne jo dekhā
to ausāf-e-dahan meñ bol uThā chaT