gaah bismil huuñ gahe takbīr huuñ
apnī maiñ tadbīr kā taqdīr huuñ
mere dam se hai junūñ kī aabrū
pāsbān-e-ḳhāna-e-zanjīr huuñ
be-ruḳhī par hai kamāñ taqdīr kī
go sarāpā nāvak-e-tadbīr huuñ
dushmanoñ ke huuñ zarar kā sarnavisht
dostoñ ke naf.a kī taqrīr huuñ
hai ḳharābī raḳhna-andāz-e-binā
qasr-e-barbādī kā maiñ ta.amīr huuñ
qad tavāzo.a meñ hai ḳham misl-e-kamāñ
rāst-kārī meñ misāl-e-tīr huuñ
maiñ huuñ ik naqqāsh shā.ir ai 'vaqār'
khīñchtā ash.ār kī tasvīr huuñ