Kishan Kumaar Waqaar

kabhi ai ashk-e-tar aankhon se Dhal paD

Kishan Kumaar Waqaar

kabhī ai ashk-e-tar āñkhoñ se Dhal paḌ
kabhī ai āh-e-dil muñh se nikal paḌ
na ai pā-e-tasavvur itnā shal paḌ
kabhī tū lā-makāñ se aage chal paḌ
huā vo but na do din bhī kabhī raam
jahannam meñ tū ai ilm-o-amal paḌ
vo raqsāñ bazm meñ haiñ tū bhī ai dil
kabhī to vajd meñ aa kar uchhal paḌ
kisī din to kabhī ai abr-e-rahmat
mire bait-ul-huzan meñ bhī uñDal paḌ
gul-e-āriz pe un ke misl-e-bulbul
kabhī o tifl-e-dil tū bhī machal paḌ
mire aage kabhī haath apne dho kar
raqīboñ ke bhī pīchhe ai ajal paḌ
bahe go ālam-e-imkāñ par ai chashm
kabhī to sūrat-e-zamzam ubal paḌ
nibhī ik pal kabhī jis se na ai dil
usī sarkash ke phir qadmoñ pe chal paḌ
kabhī o sher-e-vasf-e-sā.id-e-yār
mire ḳhāme ke bhī sāñche se Dhal paḌ
'vaqār' us bazm meñ tū bhī sadaf-vār
dahān-e-pāk se motī ugal paḌ
Top Urdushayar.com