Kishan Kumaar Waqaar

kabhi baalon ko suljhaya to hota

Kishan Kumaar Waqaar

kabhī bāloñ ko suljhāyā to hotā
mujhe shāne se uljhāyā to hotā
bigaḌ jaatā abhī muñh aa.ine kā
tumhāre rū-ba-rū aayā to hotā
gul-e-yūsuf zuleḳhā.i dikhātā
chaman meñ vo aziiz aayā to hotā
zabān-e-bosa-e-lab de kar ai yaar
na diide dil ko lalchāyā to hotā
mujhe vāraftagī jaane na detī
va-lekin tum ne bulvāyā to hotā
vo kahte ġhair se kahte par ai dil
zabāñ par mudda.ā laayā to hotā
ruḳh-e-rañgīñ tirā gar dekhtā gul
na uḌ jaatā to pattāyā to hotā
sahāre par sahar hotī shab-e-hijr
na aate va.ada farmāyā to hotā
na paayā tum ko maiñ ne to gilā kyā
kabhī ḳhud aap ko paayā to hotā
masīhā.ī na kartā go vo kāfir
janāze par mire aayā to hotā
na detā le ke dil vo par balā se
mirā dil haath meñ laayā to hotā
maiñ thā gum-karda-e-ishq-e-kamar yaar
kabhī anqā se DhuñDhvāyā to hotā
maiñ kartā shukr-e-muqaddam meñ fidā jaañ
farishta maut kā aayā to hotā
na rahtā dast-e-vahshat āstīñ meñ
junūñ ne paañv phailāyā to hotā
maiñ uḌ chaltā ba-rañg-e-saut-e-nāqūs
'vaqār' us but ne bulvāyā to hotā
Top Urdushayar.com