soz se saaz kiyā chāhiye ab
nai se āvāz kiyā chāhiye ab
khā ke tīr-e-nigah-e-nāz us ko
qadr-andāz kiyā chāhiye ab
jis meñ jī jism meñ aa.e ai jaañ
haañ vo ejaaz kiyā chāhiye ab
dil meñ aatā hai tire ġham ko yaar
mahram-e-rāz kiyā chāhiye ab
kaan tak us ke to pahuñche yakbār
aisī āvāz kiyā chāhiye ab
husn kā vasf tire sūrat-e-ḳhat
ḳhāma-parvāz kiyā chāhiye ab
roġhan-e-qāz male vasf-e-nāz
taaza pardāz kiyā chāhiye ab
tā na ho tā.ir-e-jāñ said kahīñ
chashm-e-dil-bāz kiyā chāhiye ab
tā.ir-e-fikr ko sustī se 'vaqār'
tez parvāz kiyā chāhiye ab