gar adū taqdīr hai tadbīr rahne dījiye
dost kā dil meñ hamāre tiir rahne dījiye
haiñ jo āshiq kaam mazdūroñ kā vo karte nahīñ
zimma-e-farhād jū-e-shīr rahne dījiye
lailā-o-majnūñ kī ik kāġhaz pe hotī hai shabīh
rū-ba-rū us ke mirī tasvīr rahne dījiye
hai junūñ faslī karo zanjīr tār-e-ashk se
taur par mere mirī tadbīr rahne dījiye
sīm-o-zar bantā hai ḳhāk-e-kushta-dil se aap ke
paas apne jaan kar iksīr rahne dījiye
āstīñ se haath bāhar ho na ai jān-e-jahāñ
bas miyāñ andar hī ye shamshīr rahne dījiye
tīr-e-be-paikāñ nishāna toḌtā hai kab 'vaqār'
muñh kī muñh meñ āh-e-be-tāsīr rahne dījiye