chor darvāza yaañ ke ham bhī haiñ
in ko rauzan se jhāñke ham bhī haiñ
jo adam ko vajūd se haiñ ga.e
gard us kārvāñ ke ham bhī haiñ
faash parda karo na kushtoñ kā
naza.a meñ muñh ko Dhāñke ham bhī haiñ
ishq chhoTā banā chukā varna
ik baḌe ḳhāndāñ ke ham bhī haiñ
tirchhī nazroñ ko sīdhā rakheñ aap
varna ik TeḌhe bāñke ham bhī haiñ
hai zamīñ kā satāyā qais agar
zaḳhm-chīñ āsmāñ ke ham bhī haiñ
naqsh baiThā uThegā kis se 'vaqār'
sañg-bos āstāñ ke ham bhī haiñ