Gitesh Dube Geet

pi kar sharab bazm mein phir aaiye zara

Gitesh Dube Geet

Mandla, Madhya Pradesh, India

1973
pī kar sharāb bazm meñ phir aa.iye zarā
hai mai-kashī meñ hosh bhī batlā.īye zarā
yuuñ paḌh rakhe haiñ ham ne to kitne hī faisle
dil kī ibāratoñ ko bhī paḌhvā.īye zarā
mujh sā nahīñ milegā tumheñ yaar phir kahīñ
chāheñ to ghuum kar ye jahāñ aa.iye zarā
achchhī nahīñ hai be-ruḳhī mujh se yuuñ aap kī
aa kar qarīb se hī guzar jā.iye zarā
hotā kabhī habīb jo bantā raqīb hai
qismat ke rañg dekhte rah jā.iye zarā
bāhar bahut hī gard hai dhoke fareb kī
yuuñ pairahan badal ke hī ghar aa.iye zarā
beḌī bane haiñ kuchh to yahāñ rasm aur rivāj
yuuñ 'gīt' ko qafas se nikalvā.iye zarā
Top Urdushayar.com