ḳhat kī ruḳhsār par syāhī hai
chashm-e-ḳhvābīda ḳhush-nigāhī hai
ishq kā hai ġhubār-e-nāla uruuj
āsmāñ auj-e-taḳht-e-shāhī hai
kyuuñ na ho andalīb garm-e-fuġhāñ
bū-e-gul har taraf ko raahī hai
ashk-e-hasrat hai aaj tūfāñ-ḳhez
kashtī-e-chashm kī tabāhī hai
huuñ giraftār aap apnā maiñ
halqa-e-fals dām-e-māhī hai
chashm-e-jānāñ kā ro.ab abrū hai
teġh se saulat-e-sipāhī hai
marg merā hai zabt-e-girya 'vaqār'
aab āb-e-hayāt-e-māhī hai