yahāñ dekhūñ vahāñ dekhūñ jahāñ dekhūñ maiñ kyā dekhūñ
kabhī ḳhud meñ tujhe dekhūñ kabhī tujh meñ ḳhudā dekhūñ
ġharaz ḳhud se nahīñ koī na chāhat hai zamāne kī
kahāñ hastī mirī phir jo tujhe ḳhud se judā dekhūñ
mohabbat kī nazar meñ yaar likkhī ho mohabbat bas
kabhī dekhūñ maiñ ḳhud ko to kabhī us kī vafā dekhūñ
na.ī manzil na.ī sūrat nayā manzar mirī fitrat
badaltā huuñ maiñ roz-o-shab Thikāna bhī nayā dekhūñ
vo ulfat kī nigāheñ hoñ vo chehroñ pe tabassum ho
muqaddas se darūñ dil pe likhā naame vafā dekhūñ
nafāsat aah bhartī hai zalālat khilkhilātī hai
ye be-adabī kī duniyā meñ kabhī ḳhud ko tanā dekhūñ
ye ik duniyā dikhe bāhar vo ik duniyā mire bhītar
batā mujh ko mire mālik kahāñ apnā patā dekhūñ