Gitesh Dube Geet

jidhar dekhta hun nazara tera hai

Gitesh Dube Geet

Mandla, Madhya Pradesh, India

1973
jidhar dekhtā huuñ nazāra tirā hai
asar bandagī kā hai yā mo.ajiza hai
varaq zindagī ke palaTte haiñ jab jab
maiñ hairat se dekhūñ ki kyā kyā likhā hai
ye maujeñ ye sāhil ye kashtī ye dariyā
na jaane kahāñ nāḳhudā lāpata hai
vahī moḌ haiñ aur vahī rahguzar bhī
ġhazab ye hai ki har musāfir nayā hai
lagāte raho laakh chehre pe chehre
magar yaad ho sāmne aa.ina hai
na panghaT na rishte na sukh-dukh kī bāteñ
mirā gaañv ab shahr jo ban gayā hai
bahakne lagī hai zabāñ ab to un kī
yuuñ daulat-o-shohrat kā chaḌhtā nasha hai
Top Urdushayar.com