thā zuleḳhā ko jo jaañ se mah-e-kan.ān aziiz
ham ne bhī tujh se to be-mehr na kī jaan aziiz
kal mujhe qatl kar us dushman-e-dīñ kāfir ne
bolā logoñ se ye thā mard-e-musalmān aziiz
kyuuñ na vo mus.haf-e-rū jaañ se mujhe hove ziyād
kis musalmāñ ko nahīñ diin aur īmān aziiz
ḳhāksār arsh se bhī dekhā pare terā mizāj
aap meñ aa zarā apne ta.iiñ pahchān aziiz