Mohammad Ali Asar

TuT kar rah gaya aaine se rishta apna

Mohammad Ali Asar

TuuT kar rah gayā ā.īne se rishta apnā
ek muddat huī dekhnā nahīñ chehrā apnā
koī tūfān hai na ab koī talātum dil meñ
sāhil-e-dard pe Thahrā hai safīna apnā
lafz-o-ma.anī ke na.e phuul ubhar ā.eñge
naqsh ho jaa.e jo qirtās pe lahja apnā
yaad ḳhushbū hai chhupāne se kahāñ chhuptī hai
mauj-e-gul ḳhud hī banā letī hai rasta apnā
jis ke jaane se munavvar hue palkoñ pe charāġh
aaj tak us ne dikhāyā nahīñ chehrā apnā
raat ke saath 'asar' lauT ke ghar jaatā hai
rāsta dekh rahā hogā darīcha apnā
Top Urdushayar.com