Mohammad Ali Asar

aawazon ke jangal mein sunai nahin deta

Mohammad Ali Asar

āvāzoñ ke jañgal meñ sunā.ī nahīñ detā
vo bhiiḌ hai chehrā bhī sujhā.ī nahīñ detā
āfāq kī vus.at meñ bikharne ko huuñ bechain
kyuuñ jism ke zindāñ se rihā.ī nahīñ detā
vo haqq-e-rifāqat kī rivāyat kā amiiñ hai
vo haq bhī to ik bhaa.ī ko bhaa.ī nahīñ detā
paḌ jaa.e agar vaqt to is daur meñ koī
parbat to baḌī baat hai raa.ī nahīñ detā
bārish meñ bhī vo bhīgtā rahtā hai ḳhushī se
āñdhī meñ bhī vo peḌ duhā.ī nahīñ detā
be māñge bhī de detā hai shāhī jise chāhe
aur māñgne vaale ko gadā.ī nahīñ detā
vo shaḳhs jo rahtā hai 'asar' aañkh meñ har-dam
hairat hai ki ḳhud mujh ko dikhā.ī nahīñ detā
Top Urdushayar.com