Mohammad Ali Asar

ghazal-mizaj hai yaksar ghazal ka lahja hai

Mohammad Ali Asar

ġhazal-mizāj hai yaksar ġhazal kā lahja hai
sarāpā jaise nazākat kā isti.āra hai
qadam qadam pe charāġhoñ kī saañs ruktī hai
ki ab to shahroñ meñ jiinā azaab lagtā hai
jhulastī shaam badalne lagī hai pairāhan
tire badan kī tamāzat meñ sehr kaisā hai
shagufta harf-e-navā ajnabī se lagte haiñ
udaas lafzoñ se apnā qadīm rishta hai
na mausamoñ meñ mahak hai na rat-jagoñ meñ asar
tumhāre shahr kā mausam bhī kitnā phīkā hai
chahār-samt ḳhayāloñ kī ret bikhrī huī
hamārī pyaas kā manzar ye reg-e-sahrā hai
ab apnī tishna-labī par na jā.iyegā 'asar'
samundaroñ kā muhāfiz bhī aaj pyāsā hai
Top Urdushayar.com