Mohammad Ali Asar

mata-e-umr-e-guzishta sameT kar le ja

Mohammad Ali Asar

matā-e-umr-e-guzishtā sameT kar le jā
jo ho sake to mirā dard apne ghar le jā
tū jā rahā hai to merī sisaktī āñkhoñ se
sulagtī shaam pighaltī huī sahar le jā
uchaTtī āñkhoñ se tahzīb kā safar kaisā
tū apne-āp ko tārīḳh ke udhar le jā
huzūr-e-dost ik ā.īna jagmagātā hai
tū apnī zaat kā paikar tarāsh le kar le jā
sulag rahī hai tirī yaad mirī rag rag meñ
ab apnī yaad mire dil se chhīn kar le jā
'asar' ke paas to kuchh bhī nahīñ hunar ke sivā
tū be-hunar hai to sarmāya-e-hunar le jā
Top Urdushayar.com