Mohammad Ali Asar

kisi ka naqsh jo pal bhar raha hai aankhon mein

Mohammad Ali Asar

kisī kā naqsh jo pal bhar rahā hai āñkhoñ meñ
baḌe ḳhulūs se ghar kar rahā hai āñkhoñ meñ
zamīñ se tā-ba-surayyā hai raushnī lekin
yahāñ to raat kā manzar rahā hai āñkhoñ meñ
chalā gayā hai tasavvur kī sarhadoñ se pare
vo ek shaḳhs jo aksar rahā hai āñkhoñ meñ
abhī abhī koī shahr-e-tarab se guzrā hai
kise dikhā.ūñ dhuāñ bhar rahā hai āñkhoñ meñ
tirī nazar meñ muravvat agar nahīñ na sahī
mirā ḳhulūs barābar rahā hai āñkhoñ meñ
Top Urdushayar.com