har taraf raat kā phailā huā dariyā dekhūñ
kis taraf jā.ūñ kahāñ Thahrūñ ki chehrā dekhūñ
kis jagah Thahrūñ ki maazī kā sarāpā dekhūñ
apne qadmoñ ke nishāñ par tirā rasta dekhūñ
kab se maiñ jaag rahā huuñ ye batā.ūñ kaise
aañkh lag jaa.e to mumkin hai saverā dekhūñ
nā-ḳhudā zaat kī patvār sambhāle rakhnā
jab havā tez chale ḳhud ko shikasta dekhūñ
din jo Dhal jaa.e to phir dard koī jaag uThe
shaam ho jaa.e to phir aap kā rasta dekhūñ
ab ye aalam hai ki tanhā.ī hī tanhā.ī hai
ye tamannā thī kabhī ḳhud ko bhī tanhā dekhūñ
dīda-e-ḳhvāb ko ummīd-e-mulāqāt na de
kis tarah apne hī ḳhvāboñ ko sisaktā dekhūñ
rañg dhul jaa.eñ ġhubār-e-ġham-e-hastī ke 'asar'
ab ke manzar koī dekhūñ to anokhā dekhūñ