Ahmad Rizwan

main KHak ho raha hun yahan KHak-dan mein

Ahmad Rizwan

Multan, Punjab, Pakistan

1978
maiñ ḳhaak ho rahā huuñ yahāñ ḳhāk-dān meñ
vo rañg bhar rahā hai udhar āsmān meñ
ye kaun boltā hai mire dil ke andarūñ
āvāz kis kī gūñjtī hai is makān meñ
phir yuuñ huā ki zamzama-pardāz ho ga.ī
vo andalīb aur kisī gulsitān meñ
uḌtī hai ḳhaak dil ke darīchoñ ke ās-pās
shāyad makīn koī nahīñ is makān meñ
yūñhī nahīñ rukā thā zarā der ko safar
dīvār aa ga.ī thī koī darmiyān meñ
ik ḳhvāb kī talāsh meñ niklā huā vajūd
shāyad pahuñch chukā hai kisī dāstān meñ
'ahmad' tarāshtā huuñ kahīñ baad meñ use
tasvīr dekh letā huuñ pahle chaTān meñ
Top Urdushayar.com