Jaimini Sarshar

bahut KHush the sahil qarib aa gaya

Jaimini Sarshar

Alipur, Punjab, Pakistan

1904-1984
bahut ḳhush the sāhil qarīb aa gayā
safīna kināre se Takrā gayā
hai behad ḳhatarnāk bahr-e-jahāñ
jo insān bhī is meñ Duubā gayā
tire Dar se chhup-chhup ke piite the ham
gayā shaiḳh ab vo zamāna gayā
mujhe zindagī kī duā.eñ na do
maiñ aisī duāoñ se uktā gayā
na samho kisī kī kisī baat ko
tumheñ kaun ye baat samjhā gayā
vafā.eñ nahīñ vo jafā.eñ nahīñ
nizām-e-jahāñ kuchh badal sā gayā
ye chhup chhup ke milnā bhī hai ik azaab
koī aa gayā vo koī aa gayā
yahāñ the to 'sarshār' kyā kuchh na the
ga.e vo to ḳhat bhī na bhejā gayā
Top Urdushayar.com