aane meñ tere dost bahut der ho ga.ī
bazm-e-hayāt ab zabar-o-zer ho ga.ī
parde kuchh aise rū-ba-rū āñkhoñ ke aa ga.e
duniyā mirī nigāh meñ andher ho ga.ī
duniyā ke jabr-o-jaur se kyūñkar amaañ mile
maiñ chup rahā to aur bhī vo sher ho ga.ī
kyā pūchhte haiñ ab dil-e-mahzūñ kā haal aap
us ko mare hue to bahut der ho ga.ī
har chand zindagī ne sambhāle liye bahut
phir bhī ajal ke haath se vo zer ho ga.ī
'sarshār' zikr-e-raunaq-e-bāġh-e-jahāñ na kar
uktā gayā dil is se nazar ser ho ga.ī