Jaimini Sarshar

jab qaum par aafat aai ho jab mulk paDa ho mushkil mein

Jaimini Sarshar

Alipur, Punjab, Pakistan

1904-1984
jab qaum par aafat aa.ī ho jab mulk paḌā ho mushkil meñ
insān vo kyā mar miTne kā ehsās na ho jis ke dil meñ
hañsne kā tarīqa paidā kar rone kā salīqa paidā kar
hañs phuul kī sūrat gulshan meñ ro sham.a kī sūrat mahfil meñ
qātil ke dil kī kamzorī ne saarā kaam bigāḌ diyā
ham tishna-e-shauq-e-shahādat the ḳhanjar bhī thā dast-e-qātil meñ
mahfil kī mahfil behis hai taarī hai jumūd insānoñ par
uTh soz kā aalam barpā kar aur aag lagā de har dil meñ
har qatra dariyā banñe ko betāb dikhā.ī detā hai
har mauj-e-ravāñ bechain nazar aatī hai firāq-e-sāhil meñ
'sarshār' vo kyūñkar kahte haiñ ham qaum o vatan ke ḳhādim haiñ
Daale na ga.e jo zindāñ meñ jakḌe na ga.e jo salāsil meñ
Top Urdushayar.com