sajda aur un ke āstāne kā
hausla dekhiye zamāne kā
āzmā.eñge dhaar ḳhanjar kī
ye bahāna hai ḳhuuñ bahāne kā
dil-e-sāda kī sādgī dekho
e'tibār aur phir zamāne kā
kis maze se qafas meñ ahl-e-qafas
zikr sunte haiñ āshiyāne kā
saath chalnā hai jab zamāne ke
shikva kyuuñ kījiye zamāne kā
vo zamāna abhī nahīñ aayā
ḳhvāb dekhā thā jis zamāne kā
tum ḳhud ahl-e-nazar ho ai 'sarshār'
rañg dekhā karo zamāne kā