ḳhaak dekhī hai shafaq-zār falak dekhā hai
zarf bhar terī tamannā meñ bhaTak dekhā hai
aisā lagtā hai koī dekh rahā hai mujh ko
laakh is vahm ko sochoñ se jhaTak dekhā hai
qudrat-e-zabt bhī logoñ ko dikhā.ī ham ne
sūrat-e-ashk bhī āñkhoñ se chhalak dekhā hai
jaane tum kaun se manzar meñ chhupe baiThe ho
merī āñkhoñ ne bahut duur talak dekhā hai
raat kā ḳhauf nahīñ ghaTtā añdherā to kujā
sab tarah-dār sitāroñ ne chamak dekhā hai
ek muddat se use dekh rahā huuñ 'ahmad'
aur lagtā hai abhī ek jhalak dekhā hai