terī rahmat ne kar diyā gustāḳh
''varna pahle to maiñ na thā gustāḳh
aap jo kuchh kaheñ sar āñkhoñ par
aur maiñ ne jo kuchh kahā gustāḳh
sāf-goī se kaam letā huuñ
tum ne mujh ko samajh liyā gustāḳh
kaaT dete vo kyuuñ na haath mirā
un ke dāman pe baḌh chalā gustāḳh
khul ga.ī aañkh ab to ai nargis
aur un se nazar milā gustāḳh
muñh pe kahte use nahīñ bantā
varna 'sarshār' hai baḌā gustāḳh