be-hijāb aap ke aane kī zarūrat kyā thī
yuuñ mire hosh uḌāne kī zarūrat kyā thī
ham se kahnā thā Dubo dete safīna apnā
itne tūfān uThāne kī zarūrat kyā thī
jab se aayā huuñ yahāñ mohr-ba-lab baiThā huuñ
mujh ko mahfil meñ bulāne kī zarūrat kyā thī
apne kirdār-o-amal par jo bharosa hotā
aap ke naaz uThāne kī zarūrat kyā thī
yuuñ bhī ho sakte the ābād tire vīrāne
ham ko dīvāna banāne kī zarūrat kyā thī
ashk-e-ḳhūñ ba.ad meñ 'sarshār' bahāne the agar
ḳhūn-e-ushshāq bahāne kī zarūrat kyā thī