Khaleequzzaman Nusrat

surKHiyan paDh ke in aKHbaron ki Dar lagta hai

Khaleequzzaman Nusrat

Darbhanga, Bihar, India

1952
surḳhiyāñ paḌh ke in aḳhbāroñ kī Dar lagtā hai
saarā aalam kisī bārūd kā ghar lagtā hai
baiTh jā.eñgī ye dīvāreñ kisī bhī lamha
apne ghar meñ bhī to rahte hue Dar lagtā hai
apne hamsā.e ke hālāt haiñ apne jaise
apne hī ghar kī tarah un kā bhī ghar lagtā hai
aaj bhī haath kī rekhā ko muqaddar samjheñ
billiyāñ kaaT leñ raste ko to Dar lagtā hai
bol ke sach hī adālat meñ huī rusvā.ī
ab to sach ye hai hameñ sach se bhī Dar lagtā hai
Top Urdushayar.com