Khaleequzzaman Nusrat

main tera koi nahin phir bhi puchh baiTha hun

Khaleequzzaman Nusrat

Darbhanga, Bihar, India

1952
maiñ terā koī nahīñ phir bhī pūchh baiThā huuñ
ye āñsuoñ kī chamak hai ki chashm-e-tar meñ charāġh
har ek shaḳhs ko miltā kahāñ hai raushan haath
ki rab jalātā nahīñ dast-e-be-hunar meñ charāġh
to ham bhī raat ke jañgal meñ so ga.e hote
na bante paañv ke chhāle agar safar meñ charāġh
maiñ raushnī ke ta.āqub meñ kuchh na dekh sakā
lagī vo Thes ki dhuñdlā ga.e nazar meñ charāġh
jalā ke chhoḌ diyā kis ne bahte dariyā meñ
na ye bhī sochā ki aa saktā hai bhañvar meñ charāġh
tumhārā shahr mire gaañv se hai kitnā alag
yahāñ guloñ kī jagah khilte haiñ shajar meñ charāġh
dil-o-dimāġh meñ bharne lagā hai raat kā Dar
jalānā bhuul ga.e log rahguzar meñ charāġh
Top Urdushayar.com